Hum kisi ko bhoolne waalon se hoon nahi,
Shayad kisi ki bhool mein rehne waalon mein se hoon,
Phir bhi
Kisi ke baatein yaad, koi aur ki muskaan yaad,
kisi ka chehra yaad, koi aur se mili gham yaad,
Kisi se seekha hua sabak ki yaad, kisi se paaya hua madad yaad...
Phoolon ki khushboo yaad
Baarish ki boo yaad
Thandi hawa se jhokne ki yaad
Zindagi ke kashmakash mein yaadein bhi ajeeb hai
Shayad yaadon mein hai kuch jaan,
Isliye to kal ke yaadein aaj
Kuch hasaati hai
Kuch rulaati hai,
Kuch aur yaadon ki barsaat laati hai
Kuch umang laati hai,
Kuch shor machti hai,
Aur kuch zor deti hai...
Samundar ki lehron ki tarah
Yaadon ke bina kaise guzaare yeh zindagi.
Ae zindagi tu kaise bhi ho, mast hai, kyunki kisi ne kaha
Jab andhera hi na rahe to, tum roshni ka kya mehsoos karoge?
Yeh lafz mere sochon ki chhaaya hai, har ek vyakti mehsooson ki parchaaya hai.
kuch seekh lene ki khushi hai...
- 21. March.2019